Saturday, 27 December 2014

Ramz

Ramz 

talab Ko ajr na Doon Fikr-e-raah guzar na karOn
safar main ab K hawa KOo B HamSafar na KarUn

Obhertay Doobtay Sooraj say tor Loon rishta
Main shaam OrH k Soo jaUn or seHar na karun

Ab is say Berh k bhala kiya Ho ehtiyaat-e-wafa
mei tere sheher say guzrOn tujhay khaber na kruN

ye mere derd ki Dolat merei mataa-e-hayaat
In AnsOon ki wazaahat main umer Bher na karun

Ujaar shab ki khalisH ban k Bun main Khoo jaun
main chandni ki terha Khud Ko der-ba-der na karun

WOo aik pal Ko dikhaai to day kahin MOhsin
main jaa'n gunwa k b Uss pal Ko mukhtasir na krun 

No comments:

Post a Comment