Saturday, 27 December 2014

Allama Iqbal poetry

Na Tu Zameen kay liyeh hay, na aasmaan kay liyeh
Jahaan hay teray liyeh, tu nahin jahaan kay liyeh

Yeh aql-O-dil hain shara'r shola-e-mohabbat kay!
Woh khaar-O-khass kay liyeh hay, yeh neestaan kay liyeh!

Muqaam-e-parvarish-e-Aah-O-naalaa hay yeh chaman
Na sair-e-gul kay liyeh hay, naa aashiyan kay liyeh

Rahay gaa Raavi-O-Neel-O-Firaat main kabb takk?
Tera safeena kay hay Behr-e-Bay karaan kay liyeh

Nishaan-e-Rah dikhaatay thay jo sitaaroun ko
Tarass gaye hain kissi mard-e-Rah daan kay liyeh!

Nigah-e-Buland, Sukhan dil nawaaz, Jaan pur soz!
Yehi hay rakht-e-safar meer-e-kaarwaan kay liyeh

Zara si baat thee, andesha-e-Ajam nay ussay
Barrha diyaa hay faqat zaib-e-daastaan kay liyeh

Meray Guloo main hay Ik Naghma-e-Jibraeel-e-Aashoob
Sanbhaal kar jissay rakhaa hay la makaan kay liyeh

No comments:

Post a Comment