Tanhaaiee
Tanhaaiee-e-Shabb maiN HazeeN kiyaa?
Anjum nahiN teray hum nasheeN kiyaa?
Ye Rif'at-e-Aasmaan-e-Khaamosh
Khuaabeeda zameeN jaahaan-e-Khaamosh
Ye chaand, ye dasht-O-dar, ye Kohsaar
Fitrat hay tamaam nastar'n-e-zaar
Motee khush rung piyaaray piyaaray
Ya'ni teray aaNsoo'ouN kay taaray
Kiss shay kee tujhay hawiis hay aey Dil!
Qudrat teri hum nafs hay aey Dil!
--Allama Iqbal- Baang-e-Dara
meray weeraanay say kossoon dooo hay tera watan
Hay magar darya-e-dil teri kashish say Moujzan
Qasad kiss mehfil ka hay? Aata hay kiss mehfil say tu?
zard ro shaayad huvaa ranj-e-rah-e-manzil say tu?
Aafreenush main saraapaa noor tu, zulmat hoon main
Iss seeh rozi pay laikin tera humm qismat hoon main
Aah! main jaltaa hoon soz-e-Ishtiaaq-e-deed say
Tu saraapaa soz-e-daagh minnat-e-khursheed say
Aik halqay par agar qaaim teri raftaar hay
Meri gardish bhii misaal-e-gardish-e-parkaar hay
Zindagi kee tah main sargirdaan hay tu, Hairaan hoon main
Tu farozaan mehfil-e-hasti main hay, sozaan hoon main
Main rah-e-manzil main hoon, tu bhii rah-e-manzil main hay
Teri mehfil main jo khamoshi hay, meray dil main hay
Tu talab khu hay tau mera bhii yehi dastoor hay
Chaandni hay noor tera, Ishq mera noor hay
Anjuman hay ik meri bhii jahaan rehtaa hoon main
Baz'm main apni agar yaktaa hay tu, tanhaa hoon main
Mehr ka partau teray haq main hay peghaam-e-ajal
Mehv kar deta hay mujh ko Jalwah-e-Husn-e-azal
phir bhii aey Maah-e-Mubeen! Main aur hoon tu aur hay
Dard jiss pehloo say Utthta ho woh pehloo aur hay
Garchay main zulmat saraapaa hoon, saraapaa noor tu
Senkrroon manzil hay zoq-e-aagahi say dooor tu
Jo meri hasti ka maqsad hay mujhay maaloom hay
Yeh chamak woh hay, Jabeen jiss say teri mehroom hay
From Baal-e-Jibreel...
Kiyaa Ishq aik zindagi-e-Musta'ar kaa!
Kiyaa Ishq paaeydaar say naa paaeydaar kaa!
Woh ishq, jiss kee sham'a bujhaa day ajal kee phoonk
Uss maiN mazaa nahiN tapish-O-intezaar kaa
Meri bisaat kiya hay? tub-O-taab-e-yak naf's
Sho'la say bay meh'l hay Ulajhna sharaar kaa
Kar pehlay mujh ko zindagi-e-JawedaaN Ataa!
Phir zoq-O-shoq dekh dil-e-bay qaraar kaa!
KaaNTa woh day kay jiss kee khaTTak laa zawaal ho
Yaa rabb woh dard jiss kee kassak laa zawaal ho
This one is particularly one of my favorites too... The real and true definition of what Life actually is according to the CREATOR of life is beautifully depicted by The Poet of the east Sir. Muhammad Allama Iqbal in His book Baal-e-Jibreel
Zindagi
Bar tar az andesha-e-sood-O-ziyaan hay Zindagi
Hay kabhi Jaan aur kabhi tasleem-e-jaan hay Zindagi
Tu issay Paimaana-e-Imroz-O-fardaa say naa naap
Javedaan, Pehamm dawaan, Har damm jawaan hay Zindagi
Apni dunyaa aap peda kar agar zindoun main hay
Siir-e-Adam hay, zameer-e-kun fikaan hay Zindagi
Zindagaani ki haqeeqat Koh-kunn kay dil say pooch
Joo-e-sher-O-teesha-O-sang-e-giraan hay Zindagi
Bandagi main ghatt kay reh jaati hay ik joo-e-kamm aab
aur aazaadi main behr-e-bay karaan hay Zindagi
Aashkaaraa hay yeh apni quwwat-e-taskheer say
garchay ik mitti kay paikar main nihaan hay Zindagi
Qulzum-e-Hasti say Ubhraa hay tu maanind-e-Hubaab
Iss ziyaan khaanay main teraa imtehaan hay Zindagi
[< this is my one of the favorites after second shair]
Khaam hay jubb tukk tu hay mitti kaa aik an(m)baar tu
Pukhtaa ho jaaey tau hay shamsheer-e-bay zanhaar tu
Ho sadaqat kay liyeh jiss dill main marnay ki tarrap
Pehlay apnay paikar-e-khaaki main jaan paidaa karay
Phoonk daalay yeh zameen-O-aasmaan paida karay
Aur khaakistar say aap apna jahaan paida karay
Zindagi ki quwwat-e-pinhaan ko kar day aashkaar
Taa yeh chingaari farogh-e-javedaan paida karay
Khaak-e-mashriq par chamak jaaey misaal-e-aaftaab
Taa bidakhshaan phir wohi La'al-e-giraan paida karay
Soe-e-girdoon naala-e-shabgeer kaa bhaijay safeer
Raat kay taaroun main apnay raazdaan paida karay
Yeh Gharri Mehshar kee hay tu arsa-e-mehshar main hay
Paish kar ghaafil, Amal koie agar daftar main hay
(MaaN kaa Khuaab)
MaiN soee jo ik shab tau dekha yeh khuaab
BaRRha aur jiss say meraa izteraab
Yeh dekha kay maiN jaa rahi hooN kahiN
Andhera hay aur rah milti nahiN
Laraztaa thaa dar say mera baal baal
Qadam ka thaa dehshat say uTThna muhaal
Jo kuch hosla paa kay aagay baRRhi
Tau dekha qataar ik laRRkouN ki thee
Zamarrud sii poshaak pehnay huay
Diye sub kay haathouN maiN jaltay huay
Woh chup chaap thay aagay peechay rawaaN
Khudaa jaanay jaanaa thaa unn ko kahaaN
Issi soch maiN thee kay mera pis'r
Mujhay iss jama'at maiN aaya nazar
Woh peechay thaa aur taiz chaltaa naa thaa
Diya uss kay haathouN maiN jaltaa naa thaa
Kahaa maiN nay pehchaan kar meri jaaN
Mujhay choRR kar aa gaye tum kahaaN?
Judaaie maiN rehti hooN maiN bay qaraar
Pirotii hooN roz ashkouN kay haar
Na parwaa hamaari zara tum nay kee
gaye choRR, acchi wafa tum nay kee
Jo bacchay nay dekha mera pech-O-taab
Diya uss nay moonh pher kar youN jawaab
Rulaati hay tujh ko judaaie meri
NahiN iss maiN kuch bhee bhalaaie meri
Yeh keh kar woh kuch dair tukk chup rahaa
Diyaa phir dikhaa kar yeh kehnay laggaa
Samajhti hay tu ho gayaa kiyaa issay?
Teray Aansoo'ouN nay bujhaayaa issay
Khudaa say hus'n nay ik roz yeh sawaal kiyaa
JahaaN maiN kiouN na mujhay tu nay laazawaal kiyaa?
Millaa jawaab kay tasveer khaanaa hay duniyaa
Shabb-e-daraaz ad'm kaa fassaanaa hay duniyaa
Huee hay rang-e-taghaiuur say jub namood iss kee
Wohi haseeN hay haqeeqat zawaal hay jiss kee
KahiN qareeb thaa, ye guftugu qamar nay sunee
Falak pay aamm huee, Akhtar-e-seh'r nay sunee
Seh'r nay taaray say sunn kar sunaaie shabnam ko
Falak kee baat bataa dee zameeN kay mehramm ko
Bhar aaye phool kay aansoo piyaam-e-shabnam say
kali ka nanhaa saa dil khoon ho gayaa ghamm say
Chaman say rotaa huaa Mosam-e-Bahaar gayaa
Shabaab sair ko aayaa thaa, sogwaar gayaa
--Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal
No comments:
Post a Comment