Saturday, 27 December 2014

Taloo e Islam

Zameer-e-Laala main roshan charaagh-e-aarzu kar day
Chaman kay zarray zarray ko Shaheed-e-Justuju kar day

sarishk-e-chashm-e-muslim main hay neesaan ka asar peda
Khalilulah(A.S) kay darya main houn gey gohar peda

Kitaab-e-millat-e-baiza ki phir sheeraza bandi hay
Yeh shaakh-e-haashmi karnay ko hay phir barg-o-bar peda

rabood aan turk-e-sheeraazi dil-e-tibreez-o-kabul raa
Saba karti hay Boo-e-gul say apna hamm safar peda

Agar Usmaanioun par koh-e-gham toota tau kiya gham hay
kay khoon-e-sad hazar anjum say hoti hay Seh'r peda

Jahaanbaani say hay dushwaar-tar kaar-e-jahaan beeni
Jiger khoon ho tau chashm-e-dil main hoti hay nazar peda

Hazaaroun saal Nargis apni bay noori pay roti hay
barri mushkil say hota hay chaman main deeda war peda

nuaa-e-pera ho aey bulbul kay ho teray tarannum say
kabootar kay tan-e-naazuk main Shaheen ka jigar peda

teray seenay main hay posheeda raaz-e-zindagi keh day
Musalmaan say hadees-e-soz-o-saaz-e-zindagi keh day

Khuda-e-lam yazil dast-e-qudrat tu, zubaan tu hay
Yaqeen peda kar aey ghafil kay maghloob-e-gumaan tu hay

Paray hay charkh-e-neeli faam say manzil musalmaan ki
Sitaaray jiss kee gird-e-rah hon, woh kaarwaan tu hay

Makaan faani, makeen aani, az'l tera, abad tera
Khuda kaa aakhiri pegham hay tu, javedaan tu hay

Hina band-e-Uroos-e-Laala hay khoon-e-jiger tera
Teri nisbat baraaheemi hay maymaar-e-jahaan tu hay

Teri fitrat ameen hay mumkinaat-e-zindagani ki
Jahaan kay johar-e-Muzmar ka goyaa imtehaan tu hay

Jahaan-e-Aab-O-gil say Aalam-e-Javed ki khaatir
Nubuwat saath jiss ko lay gaie, woh armaghan tu hay

Yeh nukta sargazisht-e-Millat-e-Beza say hay peda
Kay aqwaam-e-zameen-e-Asia kaa paasbaan tu hay

Sabaq phir parrh sadaqat ka, adaalat ka, shuja'at ka
Liyaa jaey gaa tujh say kaam dunyaa ki imaamat ka

Yehi maqsood-e-fitrat hay, yehi ramz-e-musalmani
Ukhuwat ki jahaangeeri, Mohabbat ki faraawani

Butaan-e-rang-O-khoon ko torr kar millat main gumm ho jaa
Na toorani rahay baaqi, na Irani, na Afghani

Miyaan-e-shakhsaraan Sohbat-e-Murgh-e-chaman kab takk
Tera baazu main hay parvaaz-e-Shaheen-e-Qehstaani

Gumaan Aabaad hasti main yaqeen mard-e-musalmaan ka
Bayaabaan ki shabb-e-taareek main qindeel-e-rehbaani

Mittaya Qaisar-O-Kisra kay istabdaad ko jiss nay
Woh kia thaa? zor-e-Haider, faqr-e-Bu zar, sidq-e-Salmani 

Huvay ahraar-e-millat Jadah-o-pemaa kiss tajjammul say
Tamaashaie shigaaf-e-dar say hain sadiyon kay zindaani

Sabaat-e-zindagi Iman-e-mohkam say hay dunya main
Kay Almani say bhi Paaindah tar nikla hay Toorani

Jubb iss angarah-e-khaaki main hota hay yaqeen peda
Tau kar laita hay yeh baal-O-par Rooh-ul-Ameen peda

Ghulaami main naa kaam aati hain shamsheerain na, tadbeerain
Jo ho zoq-e-yaqeen peda tau katt jaati hain zanjeerain

Koie andazah kar sakta hay uss kay zor-e-baazu ka?
Nigah-e-mard-e-momin say badal jaati hain taqdeerain

Wilayat, paadshahi, Ilm-e-ashiya ki jahaangeeri
Yeh sub kia hain? faqat aik nukta-e-iman ki tafseerain

Baraaheemi nazar peda magar mushkil say hoti hay
Havis chup chup kay seenoun main banaa laitee hain tasveerain

Tameez-e-bandah-o-aaqa fasaad-e-aadmiyat say hay!
Khudraaey cheera-e-dastaan sakht hain fitrat ki ta'azeerain

haqeeqat aik hay har shay ki khaaki ho kay noori ho
Lahu khursheed ka tapkay agar zarray ka dil cheerain

Yaqeen mohkam, amal peham, mohabbat faata'hay aalam
Jihad-e-zindagaani main hain yeh mardoun ki shamsheerain

Chay bayad mard-e-raa taba'a-e-bulanday, mushrab-e-naabay
Dil-e-garmay, nigah-e-pak beenay, jaan-e-bay taabay

Uqaabi shaan sayjhapatt tay thay jo, bay baal-o-par niklay
Sitaaray shaam kay khoon-e-shafaq main doob kar niklay

huvay madfoon-e-daryaa, zer-e-darya ternay waalay
Tamaanchay moj kay khaatay thay jo, ban kar gohar niklay

Ghubaar-e-rah guzar hain, Keemiya par naaz thaa jin ko
Jabeenain khaak par rakhtay thay jo, akseer gar niklay

Hamaara narm ro qasid payaam-e-zindagi laayaa
Khabar deti theen jin ko bijliyaan, woh bay khabar niklay

Haram ruswaa huvaa, peer-e-haram ki kam nigaahi say
Jawaanaan-e-tataari kiss qadar sahib-e-nazar niklay

Zameen say nooriyaan-e-aasmaan parvaaz kehtay thay
Yeh khaaki zindah tar, paaindah tar, tabindah tar niklay

Jahaan main ahl-e-iman soorat-e-khursheed jeetay hainIdhar doobay, udhar niklay, udhar doobay, idhar niklay
Yaqeen afraad ka sarmaaya-e-ta'ameer-e-millat hay
yehi quwwat hay jo soorat gar-e-taqdeer-e-millat hay

Tu raaz-e-kun fikaan hay, apni aankhoun par ayaan ho jaa
Khudi kaa raazdaan ho jaa, Khuda ka tarjumaan ho jaa

Havis nay kar diyaa hay tukrray tukrray No'-e-Insaan ko
Ukhuwat ka bayaan ho jaa, Mohabbat ki zubaan ho jaa

Yeh hindi, woh khuraasani, yeh Afghani, woh toorani
Tu aey sharmindah-e-saahil uchal kar bay karaan ho jaa

Ghubaar aaloodah-e-rang-o-nasab hain baal-o-par teray
Tu aey murgh-e-haram urrnay say pehlay pur fishaan ho jaa

Khudi main doob jaa ghafil! yeh sirr-e-zindagaani hay
Nikal kar halqa-e-shaam-o-seh'r say javidaan ho jaa

Musaaf-e-zindagi main seerat-e-folaad peda kar
Shabistaan-e-mohabbat main Hareer-O-pur niyaan ho jaa

Guzar jaa ban kar sel-e-tandoor Koh-o-bayaabaan say
Gulistan rah main aaey tau Joo-e-naghma khuaan ho jaa

Teray ilm-o-mohabbat ki nahin hay intehaa koie
Nahin hay tujh say barrh kar saaz-e-fitrat main nava koie

Abhi tuk admi said-e-zaboon-e-shehr yaari hay
Qiyamat hay kay Insaan No'-e-Insaan ka shikaari hay

Nazar ko khirah karti hay chamak tehzeeb-e-haazir ki
Yeh sannaae'e magar jhootay nigoon ki rezah kaari hay

Woh hikmat, naaz thaa jiss par khirad mandaan-e-Maghrib ko
Havis kay panjah-e-khooneen main taigh-e-kaar zaari hay

Taddabur ki fusoon kaari say Mohkam ho nahin saktaa
Jahaan main jiss tammaddun ki binaa, sarmaayaa daari hay

Amal say zindagi banti hay jannat bhi jahannum bhi
Yeh khaki apni fitrat main na noori hay naa naari hay

Khuroosh aamoz-e-bulbul ho girah ghunchay ki waa kar day
Kay tu iss gulistaan kay waastay baad-e-bahaari hay

Phir utthi Asia kay dil say chingaari mohabbat ki
Zameen jolaangah-e-atlas Qubayaan-e-ta'taari hay

Biya peda khareedar ast jaan-e-naa tawaanay raa
"Pus az muddat guzaar uftaad barmaa kaarwaanay raa"

Biya saaqi nuaaey murgh-e-zaar az shaakhsaar aamad
Bahaar aamad, nigaar aamad, nigaar aamad, qaraar aamad

Kasheed ab'r-e-bahaari khaima andar waadi-o-sehra
Sadaa-e-Aabshaaraan az faraaz-e-kohisaar aamad

Sirat gardum tohum qaanoon-e-paisheen saazdah saaqi
Kay khel-e-naghma pardaazaan qataar ander qataar aamad

Kinaar az zaahidan bar geer-o-bay baakaana saaghir kush
Pus az muddat azeen shaakh-e-koh'n baang-e-hazaar aamad

Ba mushtaqaan-e-Hadees-e-Khuwaja(S.A.W)-e-Bad'r-O-Hunain Aawar
Tassaruff haaey Pinhaan nash ba chashm-e-aashkaar aamad

Digar shaakh-e-Khaleel (A.S) as khoon-e-maan manaak megardud
B'ba zaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil aiyaar aamad

Sar-e-khaak-e-Shaheeday barg haaey Laala mi paasham
Kay khoonish baa nihaal-e-millat-e-maa saaz gaar aamad

"Baya taa Gul-e-baynafshaa Neem-O-May dar-e-saaghar andaazayam
Falak raa saqaf bashgaa feem-O-tarah-e-deegar andaazayam"

No comments:

Post a Comment