Saturday, 27 December 2014

Zuhd aur Rindi

Zuhd aur Rindi

Ik Maulvi Saahib kee sunaataa hooN kahaani
Tezi naheeN manzoor, Tabiyat kee dikhaani

Shohrah thaa bahut aap kee Sufi Munashi kaa
Kartay thay adab unn kaa a'aalii-O-adaani

Kehtay thay kay pinhaaN hai Tassawuuf maiN Shariya't
Jiss tarah kay Alfaaz maiN muzmir hoN ma'aani

Labrez ma'-e-zuhd say thee dil kee suraahi
Thee Teh maiN kaheeN duurd-e-Khiyaal-e-Hamadaani

Kartay thay bayaaN aap karaamaat kaa apni
Manzoor thee ta'adaad mureedouN kee baRhaani

Muddat say rahaa kartay thay hamsaaye maiN mairay
Thee Rind say Zahid kee mulaaqaat puraani

Hazrat nay miray aik shanaasaa say yeh poocha
IQbal kay hai Qamari-e-Shamshaad-e-ma'aan

Paabandi-e-Ahkaam-e-Shariya't maiN hai kaisaa?
Go sher maiN hai rashk-e-Kaleem-e-Hamadaani

Suntaa hooN kay kaafir naheeN Hindu ko samajhtaa
Hai aisa aqeedah asar-e-falsafa daani

Hai uss kee tabiya't maiN Tashshaiiyo' bhee zaraa saa
Tafzeel-e-Ali hum nay sunni uss kee zubaani

Samjhaa hai kay hai raag ibaadaaat maiN daakhil
Maqsood hai Mazhab kee magar khaak uRaani

Kuch a'aar ussay Husun FaroshouN say naheeN hai
A'aadat yeh hamaaray sho'raa kee hai puraani

Gaanaa jo hai Shub ko tau Seh'r ko hai tilaawat
Iss Ramz kay abb tuk naa khulay hum pay ma'aani

Laikin yeh sunnaa apnay mureedouN say hai maiN nay
Bay daagh hai maanind-e-seh'r iss kee jawaani

Majmoo'a-e-azdaad hai, IQbal naheeN hai
Dil daftar-e-Hikmat hai, Tabiya't Khafakaani

Rindi say bhee aagaah, Shariya't say bhee waaqif
Poocho jo Tassawuuf kee, tau Mansoor kaa saani

Iss shakhs kee hum par tau haqeeqat naheeN khulti
Hogaa yeh kissi aur hee Islam kaa baani!

Al-Qissa bahut toool diyaa wa'az ko apnay
Taa der rahi aap kee yeh naghz bayaaani

Iss shehr maiN jo baat ho, uRR jaati hai sub maiN
maiN nay bhee sunni apnay ahibba kee zubaani

Ik din jo sar-e-rah millay Hazrat-e-Zahid
Phir chiRR gaiee baatouN maiN wohi baat puraani

Farmaaya, shikaayat woh mohabbat kay sabbab thee
Thaaa farz miraa, raah shariya't kee dikhaani

MaiN nay yeh kahaa koie gilaa mujh ko naheeN hai
Yeh aap kaa huq thaa ziraah-e-qurb-e-makaani

Khamm hai sar-e-tasleem mairaa aap kay aagay
peri hai tawaazo' kay sabbab meri jawaani

Gar aap ko maa'loom naheeN meri haqeeqat
Pedaa naheeN kuch iss maiN Qusoor-e-Hamadaani

MaiN khud bhee naheeN apni haqeeqat kaa shanaasaa
Gehraa hai meray beh'r-e-khiyaalaat kaa paani

Mujh ko bhee tamanna hai kay Iqbal ko dekhooN
Kee uss kee judaaie maiN bahut ashk fashaani

Iqbal bhee Iqbal say aagaah naheeN hai!
Kuch iss maiN tamaskhur naheeN, Wallah naheeN hai

Aik Makhi aur aik MakRa (BachoN kaY liYe) 

Ik din kissi makRi say yeh khenay lagaa makRaa
Iss rah say hotaa hai guz'r roz tumhaaraa

Laikin meri kuTTiyaa kee naa jaagi kabhi Qismat
Bhoolay say kabhi tum nay yahaaN paaouN naa rakhaa

GhairouN say naa miliye tau koie baat naheeN hai
ApnouN say magar chaahiye youN khiNch kay naa rehnaa

Aao jo meray ghar maiN tau izzat hai yeh meri
Woh saamnay seeRhi hai jo manzoor ho aanaa

Makhi nay sunni baat jo makRay kee tau boli
Hazrat! kissi naadaaN ko dijiye gaa yeh dhokaa

Iss jaal maiN makhi kabhi aanay kee naheeN hai
Jo aap kee seeRhi pay chaRhaa phir naheeN utraa

MakRay nay kaha: Wah Farebi mujhay samjhay 
Tum saa koie naadaaN zamaanay maiN naa hogaa

Manzoor tumhaari mujhay khaatir thee, wagar naa
Kuch faaidah apnaa tau miraa iss maiN naheeN thaa

URti huvee aaie ho khudaa jaanay kahaaN say
TheRo jo mairay ghar maiN tau hai iss maiN buraa kiyaa?

Iss ghar maiN kaiee tum ko dikhaanay kee haiN cheezaiN
Baahir say nazar aataa hai choTi see yeh kuTTiyaa

LaTkay huvay darwaazouN pay baareek haiN parday
DeewaarouN ko aainsay say hai maiN nay sajaayaa

MehmaanouN kay aaraam ko haazir haiN bichonay
Har shakhs ko saamaaN yeh mayassar naheeN hotaa

Makhi nay kahaa: Khair! yeh sub theek hai laikin
MaiN aap kaay ghar aaouN, yeh umeed naa rakhnaa

Inn nar'm bichonouN say Khudaa mujh ko bachaaye
So jaaye koie inn pay tau phir uTh naheeN saktaa

makRay nay kahaa dil maiN, sunni baat jo uss kee
phaaNsooN issay kiss tarah yeh kambakht hai daanaa

Sau kaam khushaamad say nikaltay haiN jahaaN maiN
Dekho jissay duniya maiN Khushaamad ka hai bandaa
(No offence to some people at Gupshup )

Yeh soch kay Makhi say kahaa uss nay BaRRi Bee
Allah nay bakhshaa hai baRaa aap ko rutbaa

Hoti hai ussay aap kee soorat say mohabbat
Ho jiss nay kabhi aik nazar aap ko dekhaa

AankhaiN haiN kay heeray kee chamakti huvee kanniyaN
Sar aap kaa Allah nay kalghi say sajaayaa

Yeh hus'n, yeh poshaak, yeh Khoobi, yeh safaaie!
Phir uss pay Qiyaamat hai yeh uRtay huvay gaanaa

Makhi nay sunni jub yeh khushaamad tau paseeji
Boli kay naheeN aap say mujh ko koie khaTkaa

Inkaar kee aadat ko samajhti hooN buraa maiN
Such yeh hai kay dil toRnaa achaa naheeN hotaa

Yeh baat kahi aur uRi apni jagah say
Pass aaiee tau makRay nay uchal kar ussay pakRaa

Bhookaa tha kaiee roz say ab haath jo aaiee
Aaraam say ghar beTh kay makhi ko uRaayaa

No comments:

Post a Comment